Friday, 1 March 2013

Yun toh..

Yun toh dil ki baat likhi nahi jati hain...
main puchu: agar aysa hain.. toh, batao kaha ya kaise bayaan karoon ?
Yun toh zubaan se lavz sahi samay pe nikalte nahi hain...
main sochu: sahi samay kab aata hain!
Yun toh dil v har kisi pe nahi aata hain.....
main bolu: zamana ab kuch aur hi kehta hain;

Kaash k waqt theher jata kahi,
kahi jaha.. chayn k do saanse li jati..
Aankhen bandh ho.. aur dhadkane sun-li jati
Ab to jati rahi masoom woh khwahishey...
duniya badi zaleem hain, ya toh.. berukh tumhare dard se!
main manoo: zindagi k kayi pehlu, yeh v unhi mein se ek hain!!


1 comment: