Sunday, 30 November 2014

Mukam..

Mukam toh tay kar liya hain,
mukammal karna ab baki
'Gar dimag kaayam reh sake
apne lakshya par, aur bhatke na rahi -

Woh chale Janab-e-shaksiyat
samajhte apne ko koi 'Shah'
Bande ko kya khabar, hain mitti ka dhela
kya balu..kya ret, honge ek din sab fanaa!

Mahal jo maqbara ban jaye, woh kis kaam
rehne ko toh chote se dil mein bhi, hain aaram.
Bhala koi kya jane uparwale ki marzi ya mijaz
Kuch tu soch, kuch hum ilm lagaye, baith k kisi shaam;

Ruh ko chhoo jaye, ayse shabd ka kar zikar
Insaan ki 'soch' ho uska mukam.. chale yeh maan-kar
Fitrat hain jo, ankush ban ad jata kuch yuh kamyabi k aage
Warna..Mukam aur Mukammal - Do alfaz, saath chalte hain aksar.



Wednesday, 19 November 2014

Aaj, kuch likhne ka mann hain..

Aaj, kuch likhne ka mann hain..
Siyahi na sahi, kagaz bhi na rahi
yuhi.. dil mein kuch shabdo k moti pirone ka irada hain
apne aap se aaj.. kuch mangne ka mann hain.

Is raat ki gehrai mein, chup chap behti hawaa k sang
dur kahi apne dil ki dhadkan hi sun rahi
na na kehti, aankhein moond le rahi
phir bhi chanchal mann zid pe aaj hain adi;

Hote hain bohut hum jaise aur bhi nishachar prani 
yun toh, ped k dali par baithi woh ullu bhi kya bole
jab tthan li - ji raas-ne ko, fariyaad kuch hain khas aaj
Gulzar-Ghalib k shayari se dil ko behlane ka mann hain aaj!

Mohabbat k do alfaaz, kya sunau main
jab dilo dimag ka har zarra, gulistaan-e-gulam hain
pucho mat kaha lootate phirey woh angeenat keemti pal
is begane se mann ko buzurgo ki tarah samjhati hoon aaj-kal;
 
Aksar raah chalte, nazar uth ja-atakti
Masum si shakl, nanhi hi si woh jaan pe
apna aks kahi dikhta mujhe, muskurati huyi guzar jati
yun toh.. aankhon mein shararat jhalakti kuch aaj bhi.

Aaj, kuch likhne ka mann hain..
bina kisi fikar.. dil khol k hasne ki chah hain
le chal zindagi tu... haath pakad, un saal-on ki galiyon mein
jane-anjaane safar pe.. jaha se mud k dekhun, toh faiz zindagani lagey!